ajab dil ki basti ajab dil ki vaadi
har ek mod mausam nai khvaahishon ka
lagaye hai hum ne bhi sapano ke paudhe
magar kya bharosa yahan baarishon ka
muraadon ki manzil ke sapano mein khoye
muhabbat ki raaho pe hum chal pade the
zaraa door chal ke jab aankhen khuli to
kadi dhoop mein hum akele khade the
jinhen dil se chaha jinhen dil se pooja
nazar aa rahe hain vahi ajnabi se
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraani
shikaayat nahi hai koi zindagi se
**
- Sudarshan Faakir -