Ye sheeshe ye sapne ye rishtay ye dhaagey
kissay kya Khabar hai kahaan tuth jaayien
mohabbat ke daryaa mein tinake vafaa kay
na jaane ye kis morh par Doobh jaayien
ajab dil kii bastii ajab dil ki vaadi
har ek morh par mausam nay Khwaahishon kaa
lagaaye hain ham ne bhii sapanon ke paudhe
magar kyaa bharosa yahaan baarishon kaa
muraadon ki manzil ke sapanon mein khoye
muhabbat ki raahon pe ham chal pare theey
zaraa duur chal ke jab aankhain khulii to
kari dhuup mein ham akelay kharay theey
jinhen dil se chaaha jinhen dil se poojaa
nazar aa rahe hain vahii ajanabi sey
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraani
shikaayat nahin hai koi zindagi sey!
Dekh Ruswaee ka sauda hai ab na kabhi
Itnni shiddat say kisi shaks ki chaahat karna,
raahaygi shama-e-wafa yunhi ta abaad roshan
ghazal kay roop main jeenay ka hosaala rakhna!
muraadon ki manzil ke sapanon mein khoye
muhabbat ki raahon pe ham chal pare theey
zaraa duur chal ke jab aankhain khulii to
kari dhuup mein ham akelay kharay theey
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*
Lamhay gee…sunein to zara, pata hai kabhee kabhaar barish ksiee poday ke liye baree hee mufeed hotee hai..ab aap depend karta hai ke kis kism ka poda lagatee hain aap?
muraadon ki manzil ke sapanon mein khoye
muhabbat ki raahon pe ham chal pare theey
zaraa duur chal ke jab aankhain khulii to
kari dhuup mein ham akelay kharay theey
jinhen dil se chaaha jinhen dil se poojaa
nazar aa rahe hain vahii ajanabi sey
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraani
shikaayat nahin hai koi zindagi sey!
Simply great..Lamhey...
Baza ye zabt-e-gham phir bhi,mohabbat meiN kabhi ro ley
Dabaane ke liye har dard, ye naadaN nahiN hota.