Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De,
Magar Meri Iltija Hai Tujhse, Idhar Bhi Apni Nigah Kar De,
Tumhe Khabar Ho Ke Na Ho Shayad Tumhari Anakhon Mein Wo Asar Hai,
Jo Taigh-O-Khanjar Na Kar Sakenge, Wo Kaam Teri Nigah Kar De,
Suhaani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi Na Tum Benaqab Aana,
Main Dilpe Qaboo To Rakh Sakhunga, Nigah Shayad Gunah Kar De,
Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha Mujhi Mein Reh Kar Mujhi Se Parda,
Tabah Karna Agar Hai Mujhko To Naqab Utha Aur Tabah Kar De,
Nain
2
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
meri hansi nahi ruk rahi muqawee bhai…larki hai ya churail 
Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha Mujhi Mein Reh Kar Mujhi Se Parda,
Tabah Karna Agar Hai Mujhko To Naqab Utha Aur Tabah Kar De,
Omg…yahn pe sab naqaab phentey hain abb mujhe unhe dehk dehk ker hansi ayi gi 
Ye sahir yaad ajye ga..**naqaab utha ker tabha ker dey..Allah khair kare **
mujeh bohut hansi arahi hai..hahahhahaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
LP
3
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha

Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
ziada hansi to life1 ke kisi hijaban se introduce karwa denge
tarash
5
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
*Tabah Karna Agar Hai Mujhko To Naqab Utha Aur Tabah Kar De, *
emotional black mailing
Nain
6
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
ye life1 kon hai
or hijaban 
Diva
7
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
:)
system
8
Re: Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha
Good one.