Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

**Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota,
Agar aur jeete rehte, yehi intezar hota !

Tere vaade pe jiye hum, to ye jan jhoot jana,
Ke khushi se mar na jatay agar eitebar hota !

Teri nazuki se jana ke bandha tha ehd buoda,
Kabhi tu na tor sakta, agar astawaar hota !

Ye kahan ki dosti hai, ke bane hain dost naasih,
Koi chara saaz hota, koi gham gusaar hota !

Kahon kis se main ke kia hai, shab e gham buri bala hai,
Mujhe kia bura tha marna, agar eitebar hota !

Hoye mar ke hum jo ruswa, hoye kyon na gharq e darya,
Na kabhi janaza uthta, na kaheen mazaar hota !

Ye masa’il e tasawwuf, ye tera bayan Ghalib,
Tujhe hum wali samajhte jo na bada khuwar hota !**

Re: Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

Is ghazal ke baarey meiN kuch kehna sooraj ko chiraagh dikhnaey ke mutraadif hey :k:

Re: Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

kya bat hay ap ki g.

Re: Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

and aap kaa comment meri samjh se bahir hai :konfused:

Re: Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

beautiful one :)

Re: Ye na thi hamari qismat ke visal e yar hota, Ghalib.

aap samjhaiN sunshine aur Lamp ki baat ho sakti hai :smiley: