Ye Mizaaj-E-Yaar Ko Kya Hua

Ye Mizaaj-E-Yaar Ko Kya Hua yuhin Mujh Se Pyar Hai Aj Kal Meri Justju Meri Guftgu Mera Intezar Hai Aj Kal

Tere Khatoot Nikalna Kahbi Dekhna Kbi Choomna
Yehi Mashghala Yehi Silsila Yehi Karobar Hai Aj Kal

Na Akeley Ghar Sey Nikal Mian Zara Dekh Bhaal K Chal edhar
Barri Abtari,Barri Rehzani,Barri Loot Maar Hai Aj Kal

Isey Qatal Kar,Usey Qatal Kar Tujhe Saat Khoon Hain muaf ab
Teri Saltanat,Tera dabdaba,Tera Iqtadaar Hai Aj Kal,

Arey KAIF Kal To Tu Rind Tha,Mere Yaar TujKo ye Kya Hua,?
Barra Mazhabi,Barra Paarsa,Barra Deen daar Hai Aj Kal…?

        </article>                                   

Re: Ye Mizaaj-E-Yaar Ko Kya Hua

Yaar hamesha moody he hotey hain ...

Re: Ye Mizaaj-E-Yaar Ko Kya Hua

lols. ye kuch ziada hi mood swing hogaya