ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaan gaye
vo phool kyaa huye vo sitaare kahaan gaye
yaaraan-e-bazm-e-jurr’at-e-rindaanaa kyaa hu_i
un mast ankhadiyon ke ishaare kahaan gaye
ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa
umade huye vo hosh ke dhaare kahaan gaye
uth uth ke baith chukee gard raah kee
yaaro qaafile thake haare kahaan gaye
betaab tere dard se the chaaraagar “Hafeez”
kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaan gaye
~~*****
Hafeez Jullundhary
~~*****