Haseen lamhey
Shareer lamhey
Sharmeelay lamhey
Jhijhaktay lamhey
Pighaltey lamhey
Dha’rdktey lamhey
Mohabbat mai.n guzray yeh tamam Lamhey
Dil ki pagdandiyoon par
Apnay pairoon ke nishan
Naqsh kar gaye hain
Mausum badaltey hain
Hawaeein chalti hain
Laikin!
Yeh nishan na mitay hain
Na hi halkay hotay hain