**sholaa tha jal-bujha hun havayen mujhe na do
main kab ka ja chuka hun sadayen mujhe na do
jo zahar pi chuka hun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duayen mujhe na do
aisaa kahin na ho ke palat kar na aa sakun
har baar door jaa ke sadayen mujhe na do
kab mujh ko aiteraf-e-muhabbat na tha ‘Faraaz’
kab main ne ye kaha tha sazayen mujhe na do**
ye khata bar bar nahe karta
Main shabdo me kuch bhi ijhaar nahee karta
Iska matlab ye nahi ki main usase pyaar nahi karta..
Chaahta hoon main usase aaj bhi par
uskee sonch me apna wakt bekar nahin karta..
Tamasha naa ban jaaye kahee pyaar mera
Isliye apne dard ko namodaar nahi karta
Jo kuch mila hai usme hi khush hoon main
usake liye upar wale se takraar nahi karta
Par kuch to baat hai usakee fitrat me Zalimmmmmm
Warna main use chahne ki khataa bar bar nahin karta.....
Re: ye khata bar bar nahe karta
Wahh wahh,,, Sunny,,,ji aaye,, or kuch zada hi aa gaye,,, zara husla to rakhiye....
Re: ye khata bar bar nahe karta
gee hosla he rakha hua hai warna tu mera buss nahe chalta k line laga do hahahah bye
Re: ye khata bar bar nahe karta
Very very nice. Thanks.
Re: ye khata bar bar nahe karta
Nice one :k:
Re: ye khata bar bar nahe karta
thx prince ali geee
Teri yaad buhat aati hai
A Dost! teri yaad buhat aati hay
tanhai mein mujhe buhat satati hay
kis say kahoon apne dil ki baat mein
yai hawa bhi kab tak saath nibhati hay
yai barish ki boondhein, yai matti ki khushbu
mujhe tanha dekh kar mera mazak urati hein
mujhe tumse hay rafakat itni
tanhai mein tumhari awaaz ati hay
deta hay sada koi mujhe door say
lagta hay mujhe meri dost bulati hay
Re: Teri yaad buhat aati hai
VERY NICE THNX FOR SHARIN
Re: Teri yaad buhat aati hai
thx sweettyy
Re: Teri yaad buhat aati hai
Very nice sharing. Thanks.
Re: Teri yaad buhat aati hai
thx faroooor
EEMAAN
13
Re: ye khata bar bar nahe karta
wah. bohat khoob.
reet
14
Re: ye khata bar bar nahe karta
bahot khoob......nice collection......Sunny ji......thnx for sharing........!
Re: ye khata bar bar nahe karta
thx reeet