ye kamyabian

yeh kamyabian izzat yeh naam tumse hai
khuda ne jo bhi dia hai makam tumse hai

tumhare dum se hain mere lahoo main khilte gulaab
mere wajood ka saara nizam tumse hai

kahan bisaat jahan aur main kumsin-o-nadaan
yeh meri jeet ka sab ahtamam tumse hai

jahan jahan hai meri dushmani sabab main hoon
jahan jahan hai mera ahtaram tumse hai