ye jo zindagi ki kitab hai

ye jo zindagi ki kitaab hai
ye kitaab bhi kya kitaab
kahin ik haseen sa khwaab hai
kahin jaan lewa azaab hai…

kahin chaanv hai kahin dhoop hai
kahin aur hi koi roop hai
kai chehre isme chhupe hue
ek azeeb se ye naqaab hai

kahin kho diya kahin paa liya
kahin ro liya kahin ga liya
kahin chheen leti hai har khushi
kahin meharbaan behisaab hai

kahin aansuon ki hai daastaan
kahin muskurahaton ka byaan
kahin barkaton ki hai baarishein
kahin tishnagi behisaab hai…

Re: ye jo zindagi ki kitab hai

yeh kon si kitab hai?

Re: ye jo zindagi ki kitab hai

Zindagi ke

Re: ye jo zindagi ki kitab hai

zindai nay kab say kitabain likhni shoro kar di...