Ye jo zindagi ki kitaab hai

[TABLE="align: center, border: 0, cellpadding: 3, cellspacing: 1"]

**ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab
kahin ik haseen sa khwaab hai
kahin jaan lewa azaab hai...

        kahin chaanv hai kahin dhoop hai
        kahin aur hi koi roop hai
        kai chehre isme chhupe hue
        ek azeeb se ye naqaab hai

        kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin ga liya
        kahin chheen leti hai har khushi
        kahin meharbaan behisaab hai

        kahin aansuon ki hai daastaan kahin muskurahaton ka byaan
        kahin barkaton ki hai baarishein
        kahin tishnagi behisaab hai.....**
2 Likes

True

2 Likes