Ye jo sahaab they teri aankh mein
aik arsey baad aaj jo
kisi malal sey baras paRey
boseeda sey waraq waraq
kisi khayal sey baras parey
andeshoo main liptey huwey
aik khayal sey baras parey
tou kia karain aey charagar
ab waqt tou nahiN magar
tujhey paaney key zum mein
jo dhoop sar pey uthaai thii
uss dhoop key taptey zakham aaj
tujhey dikhaaney zaroor haiN
kisi mausam key kuch naqoosh jo
zindaa they terii yaad sey
hamain aaj mitaaney zaroor hain
key teri aankh key sahaab ab
chahey baras baras selaab daiN
merey dil kii banjar zameen ko
har barg barg gulab daiN
aik khatam huwii kitaab ko
kitney hi naey baab dain
ab barishain kis kaam kii
yun bheegney sey faaiyda?
sehraa kii khushk rait ko
yun seenchney sey faaiyda?
key ab wuh dar khula thaa jo
kab kaa band ho chukaa
wuh Qisaa jo hum shuru na kar sakey
kab ka khatam ho chuka…!