Aik Nazm Jo Mainay College Days Main Likhi Thi, Amateur Si Hai.. Magar Mujhe Buhat Pasand Hai..
Ye Hanstay Kheltay Bachay
Rangeen Phoolo’n Ki Maanind
Bagh-e-Jahaan Ko
Sajaye Huay Hain
Aur In Ki Khushbu
Mehkaar Ki Surat
Bagh-e-Jahaan Main
Basi Hui Hai
Ager
Ye Rangeen Phool
Murjha Gaye Tou
Shayad
Ye Chamanistan-e-Jahaan
Ujarr Jaye Ga
Bikher Jaye Ga
Lehaza
Meri Malik-e-Do’Jahaan Se
Khaliq-e-Arz-o-Samaan Se
Ye Darkhuast Hai Ke
“Ay Khudaya!
Iss Chamanistan-e-Jahaan Ko
Zameen Aasmaan Ko
Sada Apni Rehmat Se Mehkaye Rakhna
Inko Kabhi Bhi Ujarnay Na Dena”
Meray Khudaya!
Meri Laaj Rakhna
Meri Laaj Rakhna..!
(Ahmer)
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards.