Ye haadsaa to bas bahaana tha ....

eik baar phir apnii eik nayii koshish ke saath aap sabon ke saamne haazir hua hooN…aap ke comments ka intezaar rahega…

Ye haadsaa to bas bahaana tha
Tu ne yuN bhii chhoD jaana tha

Tumne sab kuchh le liya hai naya
HaaN ye rishta bhii to puraana tha

Main cheekh kar bhii kya karta
Tujhe to faislaa sunaanaa tha

Eik baar phir chaDha sach sooli pe
JhooTh ke saath phir zamaana tha

Es dillagii meiN mar gaya hai koii
TumheiN ye baat bas bataana tha

Main yuN bhii tere barabar na tha
Tujhe to jeet hii jaana tha

Baarish huii oosi ke chhaT pe
Jiska miTTii ka thikaana tha

wo hii chaandani se raha mahroom
jo yahaaN chaand ka diwaana tha

ab kyoN baithey ho rone ’ ’
dil zara sonch kar lagaana tha

Bahut khoob !
Thanks for sharing...!

nice one thanks for sharing!

Re: Ye haadsaa to bas bahaana tha …

bhut khoob:k:

V nice :k: thanks 4 sharin Pra g…

honsla afzaai ke liye aap sabon ka bahot bahot shukriya.

very nice :k;
keep up the good work :)

ok ** Teacher** me Pra g kah day ghi :hehe:

sweeet.

Re: Ye haadsaa to bas bahaana tha …

bhut zaberdast paramod ji :k:

Re: Ye haadsaa to bas bahaana tha …

Bohat khoob Pramod:k:…it’s very nice…thanx for sharing:)

ghazal pasand karne ke liye aap logon ka bohot bahot shukriya,
Chaand jii, nikami bahna, X_Communist, nikki and amal bhai. ye aap logon kii zaraa navaazii hai warna main kahaaN.....aap logon ki hii honsla afzaai ka sab asar hai ke kuchh likh paataa hooN.....

Re: Ye haadsaa to bas bahaana tha …

Ye haadsaa to bas bahaana tha
Tu ne yuN bhii chhoD jaana tha

Tumne sab kuchh le liya hai naya
HaaN ye rishta bhii to puraana tha

Main cheekh kar bhii kya karta
Tujhe to faislaa sunaanaa tha

Eik baar phir chaDha sach sooli pe
JhooTh ke saath phir zamaana tha

Es dillagii meiN mar gaya hai koii
TumheiN ye baat bas bataana tha

Main yuN bhii tere barabar na tha
Tujhe to jeet hii jaana tha

Baarish huii oosi ke chhaT pe
Jiska miTTii ka thikaana tha

wo hii chaandani se raha mahroom
jo yahaaN chaand ka diwaana tha

ab kyoN baithey ho rone ’ ’
dil zara sonch kar lagaana tha
[/QUOTE]

:k:

thanks gkk.