Ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha

**Ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha
Hum ko ik Roz behar taor juda hona tha

Itni muhlat hi na di waqt nay werna hum ko
Tujh pay Sao Bar Rukh-e-yar fida hona tha

Uskay angan main baharoon nay utarna tha mager
Hum ko ujray huway gumbad ki Sada hona tha

Esliye toot kay chaha tha bu’t-e-kafir ko
Uskay hontoon pay humein harf-e-dua hona tha

Hum parastish main ager had say barhay thay “Amjad”
Us ko haq tha, usay pather ka khuda hona tha.**

Re: Ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha

v nice...

Hum parastish main ager had say barhay thay "Amjad"
Us ko haq tha, usay pather ka khuda hona tha.

Re: Ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha

Ye fareeza bhi muhabat main ada hona tha
Hum ko ik Roz behar taor juda hona tha

Muhabat Adhoori he achi hoti hay :hinna: