Ye diya kaise jalta hua reh gaya...

Atay atay mera naam sa reh gaya
uss k hontoon pe kuch kanpta reh gaya

woh mere samnay he gaya aur main
rastay ki tarah dekhta reh gaya

jhoot wale kahin se kahin barh gaye
aur main tha k sach bolta reh gaya

andhiyoon k iraday too acchay na thay
yeh diya kaise jalta hoaa reh gaya.

(Waseem Berhalvi)

mujhe to achi laggi thi! kya kissi aur ko pasand nahi aayi! :frowning: :teary1:

Re: ~~~Ye diya kaise jalta hua reh gaya~~~

[QUOTE]
*Originally posted by Hum Hain: *
Atay atay mera naam sa reh gaya
uss k hontoon pe kuch kanpta reh gaya

(Waseem Berhalvi)
[/QUOTE]

Achee hee hai:) Mujhe bhee achee lagee :)

^ achi hee hai ka kya matlab! :(

Nice :k: