ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

-----------
**
ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa**

ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa

kaise mar-mar ke guzaarii hai tumhe.n kyaa maaluum
raat bhar taaro.n bharii raat pe ronaa aayaa

kitane betaab the rim_jhim me.n piiyenge lekin
aa_ii barasaat to barasaat pe ronaa aayaa

kaun rotaa hai kisii aur ke Gham kii Khaatir
sab ko apanii hii kisii baat pe ronaa aayaa

‘Saif’ ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai
jaane kyaa baat thii har baat pe ronaa aayaa


Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

bohat khoob :slight_smile:

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

Aap aayen to khayal-e-dil-e-nashaad aaya
kitne bhoole huwe zakhmon ka pata yaad aaya


yaad par ye yaad aa gaya.

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

zahir se baat hai apni baat per rona khatam ho tu kisi aur k leay b koi roey na :)nice sharing bb :)

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

WoW Bb kia rona aaya hai

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

Bohat achi ghazal laeiN heiN Amjad bhai :k: Nice choice :slight_smile:

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

aap itney barey ho ke bhii rotey heiN:p

Re: ye din to qayaamat kii tarah guzaraa hai

Shab-e-Hijar , Jhanjharewali , *sad_affect **and **Amal *..... Shukriya!

ji bilkul sahi furmaiya aap nay... :)

main kidher roota hoon, wo tu Shair Sahib baycharay ro ro kay doosroon ko bhi rukaatay hain :)