Ye dil ka faisla thehra
nahi ab ehtjajan b,koi faryad ya nala
kisi k samnay rakhna
Nahi ab yas main khona,
in ankhon ne nahi rona.
Nahi bechain hona ab,
khiza’n ki rutt ho chai jab.
Ye dil ka faisla thehra!!
K chahay hr mata’ ho gum,
ho jiwan ki shua madham,
diya bujhta ho sanso ka,
ya dharkan ki ho le gumsum.
Hr ik pal muskurana hai.
Nahi kuch b btana hai.
Ho chahay dil pe maut utri,
labo’n ne muskurana hai.
Ye dil ka faisla thehra..
Ye dil ka faisla kyun hai,
hr ik se ye khafa kyun hai?
Koi jb rahnuma na ho,
smajhta ho na sunta ho,
hr ik ki apni policy,
hr ik ka tajziya kuch ho,
mray dil ki hai kya halat,
ksi ko kuch na parwah ho,
mai kya sochu’n, mai kya chahu’n
koi sunta na krta ho,
to dil ka faisala thehra
k jiwan mukhtasr thehra,
to ab dil ka gala ghonto,
han khush kr do ya’n ik ik ko,
chand ansu bs nazar krna,
yu’n dil ko motabr krna..
2o th April 2008