ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

**aysa laga ke dard kisi ne ghata diya

pathar jub uski yaad ka dil se hata diya

is wastay hai apni ama’was se dosti
ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

kuch dair pahlay khwaab maiN the sath sath hum
is khushgawaR neend se kis ne jaga diya

hotay haiN kuch asool judaye ke bhi magar
tum ne to ek pal maiN sabhi kuch bhula diya

jis ke sadaqtooN pe bohat maaN tha Batool
usne munafiqat ko saleeka nay’ya diya ***

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

is wastay hai apni ama’was se dosti
ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Very Nice… Tnx for Sharing this Beauty Koyal :flower1:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Beautiful ghazal Koyal:k:…thanks for sharing with us :slight_smile:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

nice one:flower2:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

bohat khoob :flower2:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

very niceeeeeee :) mane bhi post ki huwi hai :D

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Buhat khoob Koyal Ji:-)

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

boht khoob :)

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Beautiful ghazal... :-)

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Very nice.

Yunhi mausam ki adaa dekh ke yaad aayaa hay
Kis kadher jald badal jaatay haiN Insaan, jaanaaN

Zindagi teri ataa thi so tere naam ki hay
Hum ne jaisay bhi basar ki, tera ehsan jaanaaN

Hum ke roothi hui rut ko bhi mana letay thay
hum ne dekha hi naa tha Mausam-e-hijraaN jaanaaN

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

hotii hai tere naam se vahashat kabhii kabhii
bar_ham hu_ii hai yuu.N bhii tabiiyat kabhii kabhii

dil ko kahaa.N nasiib ye taufiiq-e-iztiraab
milatii hai zindagii me.n ye raahat kabhii kabhii

josh-e-junuu.N me.n dard kii tuGayaaniyo.n ke saath
ashko.n me.n Dhal ga_ii terii suurat kabhii kabhii

tere qariib rah ke bhii dil mutama_iin na thaa
guzarii hai mujh pe bhii ye qayaamat kabhii kabhii

kuchh apanaa hosh thaa na tumhaaraa Khayal thaa
yuu.N bhii guzar ga_ii shab-e-furqat kabhii kabhii

ai dost ham ne tark-e-muhabbat ke baavajuud
mahasuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

Chaand :)

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

shukria Golden baji:D

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

wo aien ghar hamarey khuda ki qudrat…thanks:) :blush:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

also thanks wizz..khilat...Gul..heartu...khamosh..umer..haraf..:)

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

hmmmm aj ye Chand kahan se niqal aya ;):smiley:

Re: ye chand jub bhi nikla hami ko daga diya

:snooty: