**Ye Baam o Dar Bhi Meray Saath Khowab Daikhain Gay
Tamaam Raat Mera Iztaraab Daikhain Gay
Jahan Hurf -e- Mainay Main Jis Nay Uljhaya
Hum Us Kay Haath Main Apni Kitaab Daikhain Gay
Wo Meray Shaher Aaye Ga Or Milay Ga Nahi
Wo Kar Sakay Ga Bhala ijtanab Daikhain Gay
Tamaam Umar Dua Kay Liye Uthaya Haath
Hain Khush guman, Khushi Say Aazab Daikhain Gay
Milain Gay Us Say Kahin Dosray Kinaray Per
Saraab Paar Karay Gaye, Saraab Daikhain Gay
Wo Marhala Bhi Sar -e- Rah -e- Ishq Aaye Ga
Sawal Karnay Say Pehlay Jawab Daikhain Gay
Churra Kay Haath Kise Roz Apni Wehshat Say
Faseel -e- Shaher -e- Tamanah Ka Baab Daikhain Gay
Yahi Yaqeen Humay Saanp Ban Kay Duus Lay Ga
Ye Jantay Hain Mager Hum Bhi Khowab Daikhain Gay**