ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

**ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski
har baat pe yaad aati hai har baat bhi uski

jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankhon men liey phirtay hain soghaat bhi uski

har sholay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday men heka`yaat bhi uski

lafzon men sajatay hain usi husn ki khusbo
aankhon men chupatay hain sheka`yaat bhi uski

kya kijiey achi hamen lagti hai hamesha
dewaangi e dil men har baat bhi uski

jis shakhs ne manzar ko naey phool diye thay
hain dour e khizan par ena`yaat bhi uski

aata hai nazar majma e ahbaab men Adil
lakhon men akali hai mgr zaat bhi uski**

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

**ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski
har baat pe yaad aati hai har baat bhi uski

:k:

kia uss ne aap ka account heck kar dia hai.. her baat usko sola salwaten sunane ka mood :aj:
**

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

:cb:

subko apna wala unique lagta hai :blush:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

ye to hy…:hmmm:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

aap kahan gaye ?

Muje to nahi lagta :hmmm:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

hon to yaheen par ja raha hon...........
SOony...........

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

mujhey lagta hai :blush:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

aapka kul weekend nahi ? :emmy:

Kon? :confused:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

ab sub bata doon :emmy:

:frowning:

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

Bata`ya to tha…Koi Chutti nhi…

Kaam, Kaam or Sirf Kaam…

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

:hehe: i was kidding yaar…just creating a scenario :stuck_out_tongue:

oh yes

Re: ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski

Bohat Khoob Enter.. :k: