Yazdaan ne muskura ke barri der mein likha...

tumhaari khaak
hum ne apni tanhaai kay ashkoun say
nameeda kar kay goondhi hai…
yeh matti chaak par rakhkhi tau saakit ho giya woh bhi
tau phir bai taab ho ho kar
wafoor e shouq se aajiz
hum iss kay gird ghoomay hein
aur apnay lams e abroo se
isay paikar mein dhaala hai
phir us kay baad seenay mein tumhaaray
hum ne apna hi tanaffus phoonk daala hai…

yeh apnay khaal o khat dekho
jinhain hum ne khud apni shakl e naa deeda
tasawwur kar kay soorat di
tumhaara zikr kartay thay
tau jaanay kyoun sanaa khawanoun ki tasbeehain larazti theen..
diloun mein rashk thaa unki nigaahoun mein tahayyur thaa
jinhoun ne ik ishaaray par
jhattak kar hairatein saari
tumhaaray paaoun par apni jabeen rakh di…

tumhaaray waastay hum ne
usay thukraa diya jis ne
ibaadat mein tadabbur ki tarah daali
abhi jis ki riyaazat kay taayyun kay liye noori zamaanoun kay bhi paimaanay adhooray hein iabaadat ko itaaat se mumayyuz kar giya baaghi
TUMHAARI ZAAT KA KAFIR
HAMAARA TAU NA MUNKIR THAA…
bus itna yaad rakhna tum
tumhein kaisay banaaya hai
tumhaari justujoo mein hum ne apny qurb joo ka dil dukhaaya hai
kabhi woh yaad aata hai tau dartay hein
kaheen uski nazar tum ko na lag jaye
tumhein hum ne barray armaan se socha hai
mohabbat say banaaya hai

Zabardast …:k:

:confused:

thanx Amarbail.......so nice of you....

Azad Ji...dobaara parhiye....:)