yay zindagee kabhi kabhi ajnabi c lagti hai…
jidhar jidhar nazar uthay kuch kami c lagti hai…
bujhi bujhi hai kehkashaan
dhuan dhuan lagay jahaan
hawa-ain bhi agar choo-ain
jala-ain hum ko khushboo-ain
chiraagh ki bhi roshni saanvli see lagtee hai
laho laho hai aarzoo
ghubaar saa hai chahar soo
kabhi gumaan,kabhi yaqeen
qadam kahin, nazar kahin
jo hosh main bhi rahain
tu bai-khudee see lagti hai
khayal main bhi ho sanam
tu bhool ja-ain khud ko hum
jo dard-ae dil chamak uthay
ro-aan roo-aan bhaRak uthay
ho aankh tar tu kis qadar tishnagi c lagti hai
ye zindagi kabhi kabhi ajnabi c lagti hai
Qateel shifaee
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…
theres another one on the same "beher"
maybe its by Qateel sahab too......
"yay zindagee kabhi kabhi ajnabi c lagti hai......
wafa bharee nazar main bhi kuch kami c lagti hai........
kuch iss tarha jalay yay dil
dhuaan dikhaee bhi na day
main toot-ta rahoon magar
sada sunaa-ee bhi na day
ho aankh tar tu kis qadar tishnagi c lagti hai......
yay zindagee kabhi kabhi ajnabi c lagti hai......
ajeeb sha'i hai raat bhi
utar-tee ja-ay dard main
chamakta chaand bhi lagay
ata hoa sa gard main
charaagh ki bhi roshni
saanvli c lagti hai
yay zindagee kabhi kabhi ajnabi c lagti hai......
yay zindagi hai ek nadee
nadee ka hai baha-o bhi
aur is nadee kay beech main
yay aik aisee na-o bhi
kinaray per bhi ho agar
tu doobtee c lagti hai
yay zindagee kabhi kabhi ajnabi c lagti hai......
wafa bharee nazar main bhi
kuch kami c lagti hai..........
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain.....
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*
~~~~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
“The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up.” ~~~~*
I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.