Yay kon si manzil hai gumaaN ki
Keh her chaap pay tera gumaaN hota hai
Kisi or ka ziker aay bhi to
Tera hi dhiyaan hota hai
MaiN daikhooN to kisi or ko aankhooN say
[RIGHT]Mager pas-e-parda tera gumaaN hota hai
Koi or hai jis ki talab hai mujhay
KueN yay sab soochtay haiN!
Dil hai k ab wehshat say ghabrata hai
Jo keh gher tha, ab makaaN hota hai
Kuen her ek dastak pay
Teray hi hath k lams ka
NishaaN hota hai
Tu yaheeN hai, yaheeN kaheeN hai
Ya gaya hai to lot aanay ka
Ab tk yahi gumaaN hota hai
Yay kon si manzil hai gumaaN ki
Keh her chaap pay tera gumaaN hota hai
Kisi or ka ziker aay bhi to
Tera hi dhiyaan hota hai
MaiN daikhooN to kisi or ko aankhooN say