Firaaq-e-deeda hoon main vasl-e-yaar baqi hai
khizaan raseeda chaman ki bahaar baqi hai
Hawa tu kehti hai saqamad-e-bahaar-e-chaman
sadaa-e-ghuncha-e-vehdat hazaar baqi hai
buto’n ke qahar se ham ko maqaam-e-yaas nahi
umeed-e-Rahmat-e-parwar digaar baqi hai
By: Daya shanker Naseem
Re: Yaqeen
Khatir se ya lihaaz se mein maan tu gaya
jhooti qasam se aap ka imaan tu gaya
dil leke muft kehte hein kuch kaam ka nahi
ulti shikayatein rahi ehsaan tu gaya
dekha hai buth kade mein jo ay sheikh kuch na kuch
imaan ki tu ye hain ki imaan tu gaya
darta hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main
sunn saan ghar ye kyun na ho mehmaan tu gaya
hosh-o-hawaas-o-taab-o-tavaan Daagh ja chuke
ab ham bhi jaane waale hain samaan tu gaya
By: Dagh Dehlvi
Re: Yaqeen
Ab tu uth sakta nahi aankhon se baar-e-intezaar
kis tarha kaate koee lail-o-nahaar-e-intezaar
unn ki ulfat ka yaqeen ho un ke aane ki umeed
ho ye dono suratein tab hai bahaar-e-intezaar
meri aahein na-rasaa meri duaein na qabool
Ya Ilaahi kia karoon main sharm saar-e-intezaar
unn ke khat ki aarzoo hai un ke amad ka khayaal
kis qadar phaila huaa hai kaarobaar-e-intezaar
By: Hasrat Mohani
Amal
4
Re: Yaqeen
Beautiful :k: … saara thread hi khoobsoorat hey…great choice mirabbas:k:…thanx for sharing it with us 
Re: Yaqeen
Neend se aankh khuli hai abhi dekha kia hai
dekh lena abhi kuch der mein dunya kia hai
baandh rakha hai kisi souch ne ghar se hum ko
warna apna dar-o-dewaar se rishta kia hai
ret ki ee'nt ki pathar ki ho ya mitthi ki
kisi dewaar ke saaye ka bharosa kia hai
apni daanist mein samjhe koee dunya 'Shahid'
warna haatho'n mein lakeero'n ke ilaawa kia hai
By: Shahid Kabir
Re: Yaqeen
Jo na pee le ansoo'on ko wo hasi hasi nahi hai
nahi jiss mein gham ho shamil wo khushi khushi nahi hai
hai chamak teri jabeen per zara dil bhi dekh zahid
jo jagaah hai roshni ki waheen roshni nahi hai
mein khushi se keh raha hoon mera phoonk do nasheman
isse kia kahegi dunya jahaan roshni nahi hai
yahan haal bekasi ka koee kia sunega Bekal
yahan sab ke sab farishte koee aadmi nahi hai
By: Bekal Utsahi
Re: Yaqeen
Baqadr-e-shauq iqraar-e-wafa kya
hamare shauq ki hain intaha kya
mohabat ka yahi sab shagal thahra
to phir aah-e-rasaa kya naa-rasaa kya
dua dil se jo nikle kaargar ho
yahaan dil hi naheen dil se dua kya
dil-e-afat-zadaa ka mudd'a kya
shikasta saaz kya uss ki saza kya
Salamat daaman-e-umeed-e-Seemab
mohabat mein kisi ka aasra kya
By: Seemab Akbarabadi
Re: Yaqeen
Aankh se aankh milata hai koee
dil ko kheench liye jaata hai koee
waa-e-haira ke bhari mehfil mein
mujh ko tanha nazar aata hai koee
Chaahiye khud pe yaqeen-e-kaamil
hosla kis ka barhata hai koee
sab karishmaat-e-tasavvur hai 'Shakeel'
warna aata hai na jaata hai koee
By: Shakeel Badayuni
Re: Yaqeen
Jigar Meer..... kiya baat hai....kiya gul e khushrang laye janab,
** Faqeer ne aapko MEER E KARAWAN ka laqab de diya...zindabaad.**
Re: Yaqeen
Faqeerana aaye sadaa kar chale
miyan khush raho hum dua kar chale
jo tujh bin na jeene ko kehte thay hum
so iss ahd ko ab wafa kar chale
koee na-umeedana karte nigaah
so tum hum se muuh bhi chipa kar chale
dikhaee diye yun ki bekhud kiya
hamein aap se bhi juda kar chale
jabeen sajda karte he karte gaee
haq-e-bandagi hum adaa kar chale
kahein kya jo pooche koee hum se "Meer"
jahan mein tum aaye thay kya kar chale
By: Meer Taqi Meer
Re: Yaqeen
Ab khushi hai na koee gham rulane waala
humne apna liya her rang zamane waala
uss ko ruqsat tu kiya tha mujhe maloom na tha
saara gha le gaya ghar chorh ke jaane waala
ik musaafir ke safar jaisi hai sab ki dunya
koee jaldi mein ko der se jaane waala
ek be-chehra see umeed hai chehra-chehra
jiss taraf dekhiye aane ko hai aane waala
By: Nida Fazli