Yakhbastaa Waqr

Yakhbasta Waqt

Door ufq detaa hai aawaazaiN meray soyay huay jazbaat ko
Is ufaan maiN machlataiN haiN kitnay naghmain nikal aanay ko

Diwaanaa kiyay daitee hai hai mujhko soz-e-tanhai
Aur
KhyaaloN ka bojh zehan pay barta jaataa hai
Yeh maqaam kaisa
Ki khyaal lafaz bantay bhi nahiN aur martay bhi nahiN
Bus waqat-e-tanhai aur bojhil hua jaataa hai

Door door tak hai sannaataa dil-o-dimaagh pay chaayaa huaa
Bus aatee hai ufq say wahi dard bhari aawaaz

HaaN ! shayud yeh aawaaz mujhay hosh main laa day
JazboN ko jagaa day lafzoN ko banaa day
Aur shayud phir say tanhaai
Bojh na reh kar pursakoon saath ho jaayay
Ki jiska muNtzir rehay mera wajood
Meray khyaal aur maiN


Meanings-
Yakhbastaa waqt- Freezed time,Soz-e-tanhaai- pain of lonliness,
Ufq-horizon, Pursakoon-peaceful,tranquil,MuNtzir-waiting