Aik Sajda-e-kHushu ki der thi “Tassneef” Phir
Meraa Masjood-e-Nazar bhi Munkashiff hone lagaa **
Note:- Main dono takHaluss Istemaal akrtaa hooN " Shaakir" aur " Tassneef" ..It depends on Wazan and Behr.
Daiyaar-e-MagHrib se jaane walo!daiyaar-e-Mashriq ke BaasioN ko
Kisi gHareeb-ul-Watan Musafir ki ChaahtoN ka salaam kehnaa
Hamaare Shaam-o-Sehar ka keya Haal poocHte ho ke lam’haa lam’haa
Naseeb in ka bana rahe haiN tumhaare hi Sub’ho Shaam kehnaa
[This message has been edited by Tassneef (edited June 21, 2002).]
Daiyaar-e-MagHrib se jaane walo!daiyaar-e-Mashriq ke BaasioN ko
Kisi gHareeb-ul-Watan Musafir ki ChaahtoN ka salaam kehnaa
Hamaare Shaam-o-Sehar ka keya Haal poocHte ho ke lam’haa lam’haa
Naseeb in ka bana rahe haiN tumhaare hi Sub’ho Shaam kehnaa
Misbaah sahibaa yeh kaalaam Khaaksaar ka hi hai
aap ne shaiyad Note per Ghaur nahin kyiaa
keh maiN Behr ke Hisaab se Tassneef aur Shakir dono takhaluss istemaal karta hoooN bcs mera name Munawar Ahmad Shakir hai
magar aksaar auqaat Shakir ka istemaal Maqtaa mein karne se Sher ka wazan aur Behr gir jaati hai iss ylei mujay Tassneef Istemaal akrna parhta hai aur tassneef ko maiN har jagaah istemaal nahin kar saktaa chunachey mujhey Shakir ko hi main takhalluss ke taur per istemaal karna parhta hai
**Sheh-Ragg se QareeN mujhko Mehsoos jo hotaa hai
Dekhaa to nahiN usko Tanhaai meiN rochaa hai
Maqtal ki taraf aatey aur tez Qadam aatey
Aawaaz to di hoti ham teri Qassam Aatey
Aye Jazba-e-kHud’daari jhukne na diya tune
Likhne ke lyie warnaa Sone ke Qalam Aatey
**