issi gham ki aut mila tha wo, mujhay pehli baar yahin kahin
kisi chashm-e-tar main talash kar usay mere yaar yahin kahin
ye jo simt-e-ishq main jheel hai, ye jo simt-e-gham main pahar hain
meri raah dekh raha na ho mera shahsawaar yahin kahin
ye tah-e-faseel saraab sa kabhi sail-e-bekh-o-tanab tha
meri jaan khayaam pazir thay tere jaan nisaar yahin kahin