**aadaab, dosto!
ek Ghazal pesh hai. dekhiye aur apnii raae se navaaziye.
Ghazal
yahii hai baKht kaa maamuul, pyaare
kabhii kaaNTaa, kabhii hai phuul, pyaare
safar meN umr ke kyaa kyaa na chaahaa
magar haath aayii to bas dhuul, pyaare
duaa-e-umr-e-Khizr, aur merii Khaatir?
sazaa ko aur mat de tuul, pyaare
hameshaa ko na so jaaye kahiiN tuu
Khayaal-e-yaar meN mat jhuul, pyaare
vo faiz-e-aam kyaa jaaneN ki jo haiN
bas apne faiz meN mashGhuul, pyaare
ajab kyaa, kal ko manzar muKhtalif ho
jo qaatil haiN, baneN maqtuul, pyaare
adaayeN tuu zamaane bhar kii apnaa
magar apnii adaa mat bhuul, pyaare
duaa kar, harf-e-:Meer:-e-Khush.bayaaN saa
suKhan :Waseem: kaa ho maqbuul, pyaare !!!**
**Waseem Ahmed**