Yehi woh jagah hai, yehi woh fiza hai
Yaheen per kabhi Aap hum se milay thay
Inhein hum bhala kistarha bhool jaayein
Yaheen per kabhi aap hum se milay thay
Yaheen per mera haath, haath mein leykar
Kabhi na bicharnay ka waada kiya thaa
Sada ke liye hogaye hum tumhare
Galay se laga kar humein yeh kahaa thaa
Kabhi kam na hongi hamari wafaaein
Yaheen per kabhi aap hum se milay thay
Yaheen per wafa ka naya rang de ke
Banaee thee chahat ki tasveer tum ne
Yaheen ki bahaaroon ke phoolon ko chun kar
Sanwaari thay ulfat ki takdeer tum ne
Woh din aap ko yaad kaise dilaayein
Yaheen per kabhi aap hum se milay thay
Yehi woh jagah hai, yehi woh fiza hai
Yaheen per kabhi Aap hum se milay thay