~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

* Woh ajanbi tha jo meray lahoo main shamil tha Meri wafa ka meri chaahatoon ka hasil tha

Yeh aur baat kay majbooriyaan rahi iski
Kabhi kabhi tu meri khwahishoon ka katil tha
**
Mein apna zakhum dikhanay bhala kahan jati
Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha**

Woh wardaat bhi karta raha kareenay say
Sutoon e daar hi uskay kiye ka hasil tha

Mein iski zaat per ab aitbaar kiya karti
Najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha

Suna hai deer talak usko gungunata raha
Woh aik sher hi meri ghazal ka hasil tha …

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Mein iski zaat per ab aitbaar kiya karti
Najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha

bahot khoob…:k:

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Shukriya ... reet

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

buhut khoob

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Nice piece.

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Thank you kamal and Jiaz ...

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Bohat khoob…:k:

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

Hi!
Bouhat khoub, wah bhi wah

Suna hai deer talak usko gungunata raha
Woh aik sher hi meri ghazal ka hasil tha

Re: ~ Yahan tu har koi apnoo kay ghum say ghayal tha ~

**Woh wardaat bhi karta raha kareenay say
Sutoon e daar hi uskay kiye ka hasil tha

Mein iski zaat per ab aitbaar kiya karti
Najanay kitno kay armaan o dil ka qatil tha

Suna hai deer talak usko gungunata raha
Woh aik sher hi meri ghazal ka hasil tha **

Very Nice… Tnx Arif… :flower1: