Yahaan apni apni baari par…

Yahaan apni apni baari par…
Sab hanstay hain…

Sab rotay hain…

Dil to sab k hee hotay hain…

Dukh bhi sab ko hotay hain…

Kuch ashk dilon par girtay hain…

Kuch mitti main mil jaatay hain…

Kuch lafz adaa ho jaatay hain…

Kuch honton main sil jaatay hain…

Maana k adhooray rehtay hain…

Par khuwaab to sab k hotay hain…

Kuch kho kar bhi paa laitay hain…

Kuch paa kar bhi kho daytay hain…

Yahaan apni apni baari par…

Sab hanstay hain…

Sab rotay hain…!</h2>

Re: Yahaan apni apni baari par…

baja farmaya....

ab Nawaz ki bari hai

Re: Yahaan apni apni baari par…

Kisi jotshi ny bata`ya hy........?