Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to
Be-wafa’on ko aram kesay aye ga

Wo awara mizaj kahin door ja basa hai
Aab meri saada’on per kesay aaye ga

Saans’on mein basa hai yaad’on ki surat
Per is ko yakeen kesay aaye ga

Mein is ko kab ka bhol gaya hota ‘Gul’
Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

***Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga …


Yehi tau masla hai keh dil ko qaraar kaise aaye..

Nice One Inteha..:k:

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Waqt k sath shayed qaraar aa hi jata hai.. Ya phir aapko koi us sy zyada chahny wala mil jaye

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Jee bilkul, Waqt sab se bara marham hai..

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Kuch ghao shayed waqt bhi nahin bhar sakta.. :/

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Ghao bhar tau nahi sakta lekin unn ki shiddat mein kami zaroor aa jati hai waqt ke sath sath..

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Lekin baad mein thori si thais lagti hai to phir sub zakham hary ho jaty hain

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Masla-e-kashmir bana liya hai is ko :smack:

Re: Yaha’n ehal-e-dil toot’ain gey nahi to

Mein is ko kab ka bhol gaya hota ‘Gul’
Masla is dil ka hai is ko qarar kesay aaye ga

Nice :k: