“yah chaand tau mujhy apna dekhaiy deta hay”
bharay shehar men tanha dekhaiy deta hay
yeh chaand tau mujhy apna dekhaiy deta hay
kisi ke cheheray pe yah aainey par nazren hon
bas ek tera chehera dekhaiy deta hay
jab es se miltay thay sapno men khoay rehtay thay
ab es ka milna bhi sapna dekhaiy deta hay
men jis shajar par tera naam likh ke aya tha
akela hota hon , hansta dekhaiy deta hay
wo jis makam pe rukhsat hua tha tu mujh se
wahan se dour tak sehra dekhaiy deta hay
<<<<----->>>>>