hayaa
May 1, 2003, 3:39pm
1
mairay paas kiya hay
sivaaey yaas kay
murjhaaey phool hain kuch, aas kay
mutthi bhar murda aarzuain hain
jin say abhi talak khooN tapakta hay
chutki bhar umeed bhi hay
maira muqaddar jis say, sir patakta hay
jholi bharee malaal bhi
sargoshiyaan kartay naadim sawaal bhi
kitna kuch hay paas mairay
jab say tu nahi aur tera khayaal bhi
-hayaa
Masha Allah bohat khoob thanks for sharing....
Re: yaas
*Originally posted by hayaa: *
mairay paas kiya hay
sivaaey yaas kay
murjhaaey phool hain kuch, aas kay
mutthi bhar murda aarzuain hain
jin say abhi talak khooN tapakta hay
chutki bhar umeed bhi hay
maira muqaddar jis say, sir patakta hay
jholi bharee malaal bhi
sargoshiyaan kartay naadim sawaal bhi
kitna kuch hay paas mairay
jab say tu nahi aur tera khayaal bhi
-hayaa
Wow, buhat hee khoobsurat
hanie
May 2, 2003, 7:46pm
7
sargoshiyaan kartay naadim sawaal bhi
kitna kuch hay paas mairay
jab say tu nahi aur tera khayaal bhi
kya baat kar di hayaa!
kuch bhi nahie, oor us ka khayaal bhi. bohat umdaa shair haye.
hayaa baree achee poem likhi aap nai wesai apas ki baat hai pyar kernai walon kai pass yehi kuch hota hai :((
bohut he Aala:k::k:
thanks for sharing:)
Buhat Khoob:k:…
Thnx for Sharing:flower1:…
nikii
May 3, 2003, 9:32pm
15
Re: yaas
*Originally posted by hayaa: *
mairay paas kiya hay
sivaaey yaas kay
murjhaaey phool hain kuch, aas kay
mutthi bhar murda aarzuain hain
jin say abhi talak khooN tapakta hay
chutki bhar umeed bhi hay
maira muqaddar jis say, sir patakta hay
jholi bharee malaal bhi
sargoshiyaan kartay naadim sawaal bhi
kitna kuch hay paas mairay
jab say tu nahi aur tera khayaal bhi
-hayaa
haya bhut zaberdast likha ha