"yaar se kah do"

**aadaab dosto!

ek Ghazal haazir-e-Khidmat hai. ummeed hai aap pasand farmaayeNge. munaasib samjheN to apnii raae se aagaah kiijiyegaa.

Ghazal

yaar se kah do ki eezaa nayii eejaad kare
ham ko is vahshat-e-furqat se ab aazaad kare

un ko fursat hii nahiiN aur hameN hosh nahiiN
aise haalaat meN ab kaun kise yaad kare

ham ko maaluum hai masruur nahiiN hone kaa
kaun phir pursish-e-haal-e-dil-e-naashaad kare

sharm-o-Ghairat ne zabaaN jis kii jakaR rakkhii ho
vo bayaaN kaise kisii shaKhs se ruudaad kare

kaise phir lazzat-e-anjaam-e-safar paaye vo
ibtidaa hii meN jo andeshaa-e-uftaad kare

laa-davaa dard ho ulfat, ye duaa hai phir bhii
dil ko aabaad yahii dard-e-Khudaa.daad kare

apne anjaam pe :Waseem: ko ta.ajjub kyoN ho
ishq kaa kaam yahii hai ki vo barbaad kare**

                            **Waseem Ahmed**

*sharm-o-Ghairat ne zabaaN jis kii jakaR rakkhii ho
vo bayaaN kaise kisii shaKhs se ruudaad kare *

Beautiful .. :k:

Boht achii ghazal hai… :flower1:

Keep it up… :slight_smile:

H H Jee karam.farmaayii kaa bahut bahut shukriya ! :slight_smile:

ishq kaa kaam yahii hai ki vo barbaad kare

Wah

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
ishq kaa kaam yahii hai ki vo barbaad kare

Wah
[/QUOTE]

Thanx !

eik khubsurat ghazal pesh karne ke liye hamaari oR se daad kubul kijiye ** Waseem Sahab **. Maqta to bahot hii pasand aaya mujhe...

Re: "yaar se kah do"

[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *
**aadaab dosto!

ek Ghazal haazir-e-Khidmat hai. ummeed hai aap pasand farmaayeNge. munaasib samjheN to apnii raae se aagaah kiijiyegaa.

Ghazal

yaar se kah do ki eezaa nayii eejaad kare
ham ko is vahshat-e-furqat se ab aazaad kare

un ko fursat hii nahiiN aur hameN hosh nahiiN
aise haalaat meN ab kaun kise yaad kare

ham ko maaluum hai masruur nahiiN hone kaa
kaun phir pursish-e-haal-e-dil-e-naashaad kare

sharm-o-Ghairat ne zabaaN jis kii jakaR rakkhii ho
vo bayaaN kaise kisii shaKhs se ruudaad kare

kaise phir lazzat-e-anjaam-e-safar paaye vo
ibtidaa hii meN jo andeshaa-e-uftaad kare

laa-davaa dard ho ulfat, ye duaa hai phir bhii
dil ko aabaad yahii dard-e-Khudaa.daad kare

apne anjaam pe :Waseem: ko ta.ajjub kyoN ho
ishq kaa kaam yahii hai ki vo barbaad kare**

                            **Waseem Ahmed** 

[/QUOTE]

lovely

Pramod Bhai and Diya Ghazal pasand farmaane kaa shukriya!