yaar ko mai.n ne mujhe yaar

yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa
raat bhar taali’-e-bedaar ne sone na diyaa

[taali’-e-bedaar = good fortune]

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa

raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se
mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa

Re: yaar ko mai.n ne mujhe yaar

WAH… Beautiful… Tnx for Sharing Cecosunip :flower1:

TeenooN Ashaar Zabardast :slight_smile:

Re: yaar ko mai.n ne mujhe yaar

suni huwi lagti hai... is it from an recent ghazal or song?

Re: yaar ko mai.n ne mujhe yaar

nice...

Re: yaar ko mai.n ne mujhe yaar

bohat khoob :)...