Poet ne to kamaal kia hi tha, Aabida Parveen g ne do-aatisha kar dia
aur aap ne yahaan bheij k seh-aatisha.
Ittefaaq ki baat dekhiye k aap abhi na post karte to main ne next post k liye ise hi soch rakha tha.
Jio !!!
:-))
*** Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha**
Kahin Zahir Kahin Chupa Dekha
Kahin Mumkin Hua Kahin WajibKahin Fani Kahin Baqa Dekha
Kahin Woh Baadshah e Takht NashinKahin Kasa Liye Gada Dekha
Kahin Woh Dar Libaas e MashuqanBar Sar e Naaz Aur Ada Dekha
Kahin Ashiq Niyaz Ki SuratSeena Bariyaan O Dil Jala Dekha !!!
Hazrat Shah Niaz
Wah ki abat hy Hazrat Shah Niaz ky klam ki. Iqbal ki yeh rubai bhi kuch yehi manni rakhti hy shaid, " Khudi ki khulwaton main gum rha main Khuda ky samny gua na th amain Na dykha Ankh uth akr Jalway dost Qiyamat main Tmasha Ban giy amain"
"Hum ko yaan dar dar phiraaya Yaar ne! Laa makaan mein ghar banaaya Yaar ne! Sirf ik adnaa tamaashe ke liye! Hum ko sooli par charhaaya Yaar ne! Sirr o shaan e be Niazi khul gayi! Jis taraf rukh ko phiraaya Yaar ne!" - Hazarat Shah Niaz Barelvi Rahamatallahu Alaihi.