Yaar Jo BhI mIla

**Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya
Khaak main meri hasthi mila kar gaya

Pyaas jiski sada mai bhujathi rahi
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya

Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Theer woh bhi jigar per chala kar gaya

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya

Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya

Neend aagosh main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarjoo thi Yaara kisii ki mujhe
Kwaab mere wahi toh mita kar gaya**