yaad ki raah-guzar jiss pey issi suurat sey
muddattain beet gaee haiN tumheN chalte chalte
khatam ho jaa'ey jo do chaar qadam aur chalo
moR paRta hay jahaaN dasht-e-faraamoshi ka
jiss sey aage na koi maiN hoon na koi tum ho
saans thaame hain nigaahaiN keh na jaane kis dam
tum palat aa'o, guzar jaao ya muR kay daikho
garche waaqif haiN nigaahaiN keh yeh sab dhoka hai
gar kahiN tum say ham-aghosh huwi phir say nazar
phuut nikle ga wahaN aur koi raah-guzar
phir issi tarah jahaaN ho ga muqaabal paiham
saaya-e-zulf ka aur junbish-e-baazu ka safar
doosri baat bhi jhuuthi hai keh dil jaanta hai
yaaN koi moR, koi dasht koi ghaaT nahiN
jis ke pardey maiN maira maah-e-ravaaN doob sake
tum se chalti rahe ye raah yunhi acha hai
tum nay muR ker bhi na daikha to koi baat nahi.

(Faiz Amed Faiz)
[/QUOTE]
main kuch nahi kah sakta.... kiya baat hai jee thanks for sharing.....