Dard chamka rahi hai teri yaad
Noor barsa rahi hai teri yaad
Dil ki waadi mein chaandi ki tarha
Dhalti ja rahi hai teri yaad
Yaadon ka ik jhonka aaya hum se milne barsoo baad
Pehle itna rooye nahee phir jitna roye barsoo baad
Lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsaas huwa
Pathar aye barsoo pehlay sheeshay toote barsoo baad
Aaj haamari khaak pe duniya rone dhonay bethi hai
Phool huwe hain jaane kaise itne sastay barsoo baad
Bhool bhi jao kis ne tora, kaise tora kyon tora
Dhoond rahe ho kya galeyoo mein dil ke tukre barsoo baad
Dastak ki umeed lagaaye kab tak Qaiser jeetay hum
Kal ka waada karne walay milne aaye barsoo baad
Yaadon ka ik jhonka aaya hum se milne barsoo baad !!!
Pehle itna rooye nahee phir jitna roye barsoo baad !!!