After a long long time sharing a ghazal again…
YaadoN ka ek jhoNkaa aaya, humsey milney barsoN baad
Pehley itna roye na they, jitna roye barsoN baad
Lamha lamha ujRa hai, mushkil sey ehsaas hua
Pathar aaye barsoN pehley, sheeshe yTooTey barsoN baad
Aaj hamari khaak par dunya roney dhoney beThi hai
Phool hue jaaney kaisey, itney sastey barsoN baad
Bhool bhi jai kisney toRa, kaisey toRa kyuN toRa
Dhoondh rahey ho kya galiyoN meiN, dil key TukRey barsoN baad
Dastak ki umeed lagaye kab tak “Qaisar” jeetey hum
Kal ka wada karney waley, milney aaye barsoN baad