Yaad ataa hai woh mujhey shab o roz aik yaad ki terhaa
Aur yeh yaad hai mujhy piyaree apnee jaan ki terhaa
Chehra hai uss ka mayray zehan mai naqshay ki terha
Bhool jaoun na Yaad kia hai ussay mai nay Kalmayy ki terha
Khou na doun ussay mai zindagee mai kabhee
Rakha hai zehan mai yaad us ko jism mai saanss ki terha
Woh hai mayray labounn per alfaz jaiseyy
perhaa hai ussay mai nay kitaab ki terhaa
Bhool jaoun naa ussay kisee bhool ki terhaa
saat rakha hai ussay apnaay sayeey ki terha