Long one but really great … hope you will enjoy reading it from the beginning till the end … !
Kabhi kabhi tanhaee mein
Khud ke leye
Kuch sa’attain mil jaati hain
Aksar kisi puraani kitaab mein
Kisi sookhe phooli ki surat
Yaadain mil jaati hain
Kabhi kisi purkhaar rastay mein
Kaantoon ki chubbhan mein
Manzil ka yaqeen ban kar
Yaadain mil jaati hain
Kabhi kisi ajnabi ki surat mein
Kisi apne ki shabeeh ban kar
Yaadain mil jaati hain
Kabhi chalte qalam mein
Lafzoon ki surat
Jazbay ban kar
Yaadain mil jaati hain
Judaee ke mausam mein
Darwaaze ke pat thaamay
Intezaar ban kar
Yaadain mil jaati hain
Tanha khare kisi rastay mein
Hawaoon ke dosh per
Kisi ki sada ban kar
Yaadain mil jaati hain
Kabhi kisi talkh baat mein
Laraztay hontoon ki
Meethi sargoshi ban kar
Yaadain mil jaati hain
Kabhi kisi ke juda hojaane per
Aansoo ban kar
Aankhoon se behte huwe
Yaadain mil jaati hain
Poori zindagi ko khoojo tau
Kisi ki yaad ban kar
Kayee yaadoon mein
Yaadain mil jaati hain
Kabhi haal ki lambi raatoon mein
Barsaatoon mein
Maazi ki baarish ban kar
Yaadain mil jaati hain
Haan… Aksar …
Kabhi kabhi tanhaee mein
Khud ke leye
Kuch saa’attain mil jaati hain
Aksar kisi puraani kitaab mein
Kisi sookhe phool ki surat
Yaadain mil jaati hain…