zehan ki imarat main
yaad ik dareecha hay
aur is dareechay kay
gird door tak phaila
waqt ka samandar hay
din mahenay lehrain hain
tun-o-taiz lehroon par
kush gulo parinday hain
yaad ik dareecha hay
jab bhi akailay main
dil udas hota hay
hum isi dareechay say
par jhaank laitay hain
waqt kay samandar main
kushgawar lamhoon ki
ranga rung taweerain
jandar lagti hain
aur zinda rehnay ka
ik jawaz banti hain
zehan ki imarat main
yaad ik dareecha hay
aur is dareechay kay
gird door tak phaila
waqt ka samandar hay
din mahenay lehrain hain
tun-o-taiz lehroon par
kush gulo parinday hain
yaad ik dareecha hay
jab bhi akailay main dil udas hota hay
hum isi dareechay say
par jhaank laitay hain
waqt kay samandar main
kushgawar lamhoon ki
ranga rung taweerain
jandar lagti hain
aur zinda rehnay ka
ik jawaz banti hain
[/QUOTE]
Dil Ko teri yad ke Aanso aziz they
Duniya ko koi Dard samonay nahi dia
Nasir Yooh chali Uss ki yad hath tham ke
MAley mein iss jahan ke khonay nahi dia