Yaad

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Azad, just a clarification here... !

Mein ne jo kuch uper likha ussay serious mat lena per dekho hamara mazhab humein yehi sikhaata hai ke kisi ki dil azaari na ki jaye and I think istarha keh dene se zaroor dil-azaari hosakti hai.. !

Mein tumhare sath kisi kisam ka jhagra nahee karna chahata, sorry if you get hurted with the views I'd shared !

Aankhain bhi wohi hain tu darecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai
Jis ne mere jazboon ki sadaqat ko na jaana
Ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai

[/QUOTE]

aJee ThoDa marain sub ko Chorni wala .... humari bala say ... hum basorat hain .... koi kahay ga to sach hi kahay ga .... sach ka bora mannanay say sachai khatum to nahi ho jati na

rahi aadhoori ki dil azaari ki baat ... aghar us ko humari baat say takleef phoonchi hay ... to aaj to goya humri Eid hay our woh bhi Baqar Eid, Hum khush howay ... Humaray buss main hota to Eid par aadhoori kay dil ki qurbani day kar, saray ka sara kalay kanWoN ko khila dain.

I will only say here...

Aankh se aankh mila, baat banaata kyon hai
Tu agar mujh se khafa hai tu chupaata kyon hai
Gair lagta hai na apnoo ki tarha milta hai
Tu zamaane ki tarha mujh ko sataata kyon hai

boht achei poetry:k:

meger yaha fight kyu ho rehe yei poetry forum hei Cafe nehe

~Sehar~ bajeeee please wake up

Aray arif jee aap kay sataanay ko woh aik litter wali bhi bohut hay, helo gay bhi to aap ki CD-70 saathar (70) km tak aap kay khan khati rahay gi ... Allah CD-70 walon kay haal par rahum karay.

Khush raho bhai ... apna kia hay

**Sach hai humeeen ko aap ke shikway baja na thay
Beyshak sitam janaab ke sab dostaana thay

Haan jo bhi jafa aap ne ki qaiday se ki
Haan hum hi karband-e-asool-e-wafa na thay

Aye tu yun ke jaisay hamesha thay meharbaan
Bhoolay tu yun ke goya kabhi aashna na thay

Har chehra ghar ko charagari se guraiz thaa
Warna humein jo dukh thay bahut ladawa na thay**

shair achay hain ... hassb e haal hain. humara bhala kehnay say kisi ka bhala hota hay to allah karay aap ko tayl ka konWan mil jay.

khush?

:) Kya kehna tumhara Azad bhai... Khush raho !

Apne guzre huwe halaat pe hans detay hain
Beetay maazi ke sawallat pe hans detay hain
Hum ko maazi ne rulaaya hai, bahut dard diye
Aise ghamgheen khayalaat pe hans detay hain

ab khush hi raho to acha hay our humain dua do key aap kay liay, dilsay wali bhaiss ki dua nahi dee, warna CD-70 sameet sir pakarr ke rotay rehtay ..........Ja bacha aysh kar :D

masoom jee
apni masooiyat ko kam kar dain … yeh larri hay, hud ho gaii jahalat ki, shairaana guftagu hay, mehfil hay, dil lagi hay dilwalon ki … aap humari takhayl ki Azadi main rorray na aTkain Please … aap masoom rahain our humain jeenay dain.

Adab Arz

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

aadhoori yeh humari post hay .. telegraph office nahi ... please aap humari post say door raha karain ..... jab daikho mou uTha kar chali aati hay.... or oper say itni badsorat .. allah allah
[/QUOTE]

THANKS AZAD SB....................... I would expect nothing better from you.........

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Dont worry and yes you are right... things will be ok...
**
Can any one tell me if he has gone to Toranto on a motor bike (from Pakistan) just asking..... **
[/QUOTE]

I told you so............. see for your self...........
aur log tu chand par chalae gaeae...... toronto tu door bhi nahin.......

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *

Jinhein takhleeq Khuda ne kar diya unhein badsurat kehne ka huq kis ne diya tujhe azad ?
[/QUOTE]

Relax Arif !!! you are gem of a person.... sarae jehan ka dard sirf aap kae dil main hai kya ???.....

Re: Yaad

excellent job:k::k::k:
yeh hai kis ke liye;)

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *

THANKS AZAD SB....................... I would expect nothing better from you.........
[/QUOTE]

Chal Udd Ve KavaaN Kaaliya
Tera Dil Vi Kaala Neel
Saaday Roz Baneeray Bol Nai
SanooN De Nai Roz Daleel

[QUOTE]
*Originally posted by Nayab: *
Bohot khoob Azad jee...:)
[/QUOTE]

Thank you Nayab :)

Re: Re: Yaad

Thank you GKK pasand karnay ka

koi nahi … :slight_smile: koi dil wali hoti to ab tak akhbar main khabar lag chuki hoti :wink:

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *

I told you so............. see for your self...........
aur log tu chand par chalae gaeae...... toronto tu door bhi nahin.......
[/QUOTE]

I did not know ka log chand par motor bike par gaya thay....

Lakin chand tu kareeb hai toranto door hai... Chand nazar ata hai Toranto nahi ata nazar... :)

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

I did not know ka log chand par motor bike par gaya thay....

Lakin chand tu kareeb hai toranto door hai... Chand nazar ata hai Toranto nahi ata nazar... :)
[/QUOTE]

Dilsay apnay dil ke kalak ke ilawa ghar koi cheez daikhni ho to aankhon say paTi haTa kar daikho ..... ;)

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *

Relax Arif !!! you are gem of a person.... sarae jehan ka dard sirf aap kae dil main hai kya ???.....
[/QUOTE]

Sorry aap ko acha nahee laga mera reply karna... I'll takecare in future !

Bohat khoob, :k::k:

thanx 4 sharing :flower1::slight_smile: