dasht-e-tanhai main aay jaan-e-jahan larzaan hain
tairee awaaz kai sayai tairai honton kai sarab
dasht-e-tanhai main doree kai khas-o-khaak talai
khil rehai hain tairai pahloo kai saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se tairee saans ki aanch
apnee khushboo main sulagtee hui madham madham
door ufak paar chamaktee hui qatra qatra
gir rahi hai tairee dildaar nazer ki shabnam
is qadar pyar se aay jaan-e-jahan rekha hai
dil kai rukhsaar per is wakt tairee yaad nai hath
yon guma hota hai garchai hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijar ka din aa bhi gai wasal ki raat
[QUOTE]
*Originally posted by Guest7777: *

Faiz Ahmad Faiz
[/QUOTE]
A very Nice Poetry By Faiz*, Thanks for sharing Guest.
Very nice Guest. This ghazal is beautifully sung byu Iqbal Bano. I have always tried to learn it to sing that way but to no avail. Thanks for sharing :)
Phir bhi lafz suntay ho
Sirf harf chuntay ho
Inkay darmyaan kia hay
Tum na jaan pao gay