tum meri aankh ke tewar na bhool pao gay,
ankahi baat ko samjho gay tu yaad aoon gaa
Humnay khushiyaon ki tarah ghum bhi ikhattay dekhay,
Safah-e-zeest ko palto gay tu yaad aoon gaa
Isi andaaz main mukhataib hotay thhay mujh se,
khut kisi aur ko likho gay tu yaad aoon gaa
meri khushbo tumhain kholay gee gulabon ki tarah
Tum agar khud se na bolo gay tu yaad aoon gaa
Sard raaton ke mehektay huay sannaton main,
Jub kisi phool ko choomo gay tu yaad aoon gaa
Aaj tu mehfil-e-yaraan pe ho maghroor bohut,
Jub Kabhi toot ke bikhro gay tu yaad aoon gaa
Ab tu yeh askh main honton se chura leta hoon,
Haath se khud inhain poncho gay tu yaad aoon gaa
Shaal pehnayay gaa ab kaun december main tumhain
Baarishon main kabhi bheego gay tu yaad aoon gaa
Iss main shaamil hai mere bakht ki tareeki bhi
Tum siah rang jo pehno gay tu yaad aoon gaa
Wasi Shah