Yaad...

**itnay baras kee doori aur mehjoori kay
afsoon-e-safar mein lipta hua
ik shakhss achaanak aan milaa
main issko dekh kay shashdar tha
woh mujhse sawa hairaan mila!

yeh waqt bhi kitna zaalim hai!
iss hijr mein kia kia roye thay hum
iss yaad mein kia kia khoye thay hum!

kuch dair to dono chup say rahay,
phir uss nay kaha… “tum kaisay ho?”
aur mainay kaha… “bass acha hoon”

phir uss nay kaha,
“yeh itnay dino kay baad ka milnaa khoob raha…!
koi puraanaa dost milay to dil ko bhalaa saa lagta hai…
yeh shehr to bilkul badal gaya… ab chalti hoon!”

phir mainay kaha,
“main shaam samay her roze yahaan per aataa hoon…
jab waqt milay tum aa jaanaa…
iss waqt mujhe bhi jaldi hai… ab chalta hoon!”
yeh waqt bhi kitna zaalim hai!!
**

Amjad Islam Amjad

Re: Yaad…

Bahut lajawaab intekhaab …:k:

thanx amarbail..me too loved it:D

Re: Yaad...

very nicee

Bohat Khoob ** Neha**..:k:

Re: Yaad...

nice one

Re: Yaad...

thanx everyone...whenever i read this peom it really touches my heart ..Amjad Islam Amjad's poetry is awesome...:)

Re: Yaad...

Nice !!!!!!! Awesome !!!!!!