rudaad-e-qafas yaad, na andaz-e-fughaan yaad
jo beet gayi, beet gayi, ab wo kahan yaad
tum bhool gaye hum ko tu kia iss mein ta’ajub?
is daur mein karta hai kisay, kaun,kahan yaad
kafi thee tabahi ke liye gardash-e-dauraan
tum esay mein kyun aa gaye jan-e-jahan yaad
apnay se raqabat ka ye alam hai ke tauba
hum bhool gaye khud ko, wo aye jahan yaad
maazi ke dareechay se kabhi jhaank ke dekho
shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishaan yaad